1   2          10

tum bin kahi qarar na aey to main kya karu,
har pal teri yaad sataye to main kya karu,
surat main apni bhool gaya tujh ko dekh kar...
har aaine mein tu nazar aaye to main kya karu.

Tujhe chu kar aisa laga jaise ki, meri
ruh ki janmo ki talash mit gayi,
bas ek tu hi hai mere jism-o-jaan me,
baaki iss jahaan ki saari yaad mit gayi.

Jabse mile ho tum zindagi savaardi,
Khush hai itne ki sari khushiyan lutadi,
Kya the hum hume kya banadiya...
Pyaar ne teri dunia bhuladi.

Din ke saath kabhi raat nahin hoti,
Chand ke sath kabhi mulaquat nahi hoti,
Jinko hum chahte hain jaan se bhi zyada,
Unhi se humari baat nahin hoti.

Bahane bana ke apse baat karte hai,
har pal apko mehsus kiya karte hai,
itni baar to aap saans bhi nahi lete honge...
jitni baar hum apko yaad kiya karte hai.

Aapke pyar ko ehsan mante hai,
ise nibhana apna iman mante hai,
lekin hum wo nahi jo Pyar me apni jaan de,
kyun ki aapke Pyar ko hum apni jaan mante hai

Pyar ki khusbu hawao me hai,
Dil mera luta teri nigaho ne hai,
tujhe pakar mili hai mujhe duniya ki sari khushi,
tujhe bhul jana ab gunaho me hai.

apni har SAANS me aabad kiya hai TUMKO,
mere SANAM bahut YAAD kiya hai TUMKO,
Meri ZINDGI me TUM nahi to kuch bhi nahi,
HUMNE is KADAR Pyar kiya hai tumko.

Teri Arzoo Me Humne Baharo Ko Dekha,
Tere Khayalo Me Humne Sitaro Ko Dekha,
Hume Pasand hai Sath Aapka...
Warna In Aankho Ne To Hazaro Ko Dekha.

Chand agar roshan hai to roshani aap ho,
phul agar mehek hai to khusbu aap ho,
barf agar thandi hai to thandak aap ho,
zinda agar hum hai to zindgi aap ho.

koi kehta hai PYAR nasha ban jata hai,
Koi kehta hai PYAR saza ban jata hai,
Par PYAR karo sachhe DIL se,
to PYAR jeene ki wajah ban jata hai.

Is pyar ka andaz kuch aisa hai,
kya bataye raaz kaisa hai,

kon kehta hai ki aap chand jaise ho...
sach to ye hai ki chand khud aap jaisa hai.


Dil todne walo ko saja kyo nahi milti,
Har kisi ko Pyar pane ki dua kyo nahi milti,
Log kahte hai ki ishq ek beemari hai,
To fir kisi medical par iski dawa kyo nahi milti.

 
Dil par kisi ka zor nahi hota.
Dil ki awaz se shor nahi hota.
Is k khone ka gum kahe bhi to kaise?
Kyoki Dil churane wala bhi chor nai Hota.

aap ki yado k rahte hum tanha nahi,
 aap ko hum yaad na kare aisa koi lamha nahi,
aap ki yaad hi aap ka ehsas hai,
har waqt lagta hai ki aap hamare pass hai.

har rishta ek safar chahta hai,
har musafir ek humsafar chahta hai,
jaise chahta hai chand chandani ko,
koi hai jo tumhe bhi is kadar chahta hai,

Anjan sathi ka dil ko intezar hai,
Pyasi he ye ankhe dil bekrar hai,
Apka sath mil jaye to hr raah aasan ho jaye,
Sayad isi ehsas ka nam pyar hai.

Nabz meri dekhi aur bimar likh diya,?
Rog mera dekha to pyar likh diya,?
Karzdar rahnge hum us hakim ka...
Jisne dawa me unka didar likh diya...?.?

agar wo keh de hum tumhare hai...
to hum sabko chhod unke ho jayenge,
agar wo keh de ki khwabo me aayenge...
to khuda ki kasam unke liye umar bhar so jayenge

Pyar sabhi ko jina sikha deta hai
wafa k naam par marna sika deta hai
Pyar nhi kiya to kar k dekho,
zalim hr dard sehna sika deta hai.

Kisi ko pyar itna dena ki had na rahe,
par aitbaar bhi itna rakhna ki shak na rahe,
wafa itni karna ki bewafai na ho,
aur dua bus itni karna ki judai na ho,,,,,

  1   2          10

 
Make a Free Website with Yola.